You are using an outdated browser. For a faster, safer browsing experience, upgrade for free today.

Loading...



Om Jai Jagadish Hare


Devanagari (Hindi / Sanskrit)  ||  English

Om Jai Jagadish Hare
Swami Jaya Jagadish Hare
Bhakta janon ke sankat

Daas janon ke sankat
Kshan me door kar
Om Jai Jagadish Hare

Jo dhyave phal paave
Dhukh vinashe man ka
Swami dhukh vinashe man ka
Sukha sampati Ghar aave
Sukha sampati Ghar aave
Kashht mite tan ka
Om Jai Jagadish Hare

Mata pita tum mere
Sharan padun mai kis ki
Swami sharan padum mai kis ki
Tum bina aur na doojaa
Tum bina aur na doojaa
Asha karun mai kis ki
Om Jai Jagadish Hare

Tum pooran Paramatma
Tum Antaryaami
Swami Tum Antaryaami
Para brahma Parameshwara
Para brahma Parameshwara
Tum sab ke Swami
Om Jai Jagadish Hare

Tum karuna ke saagar
Tum palan karta
Swami Tum palan karta
Mai sevak tum swaami
Mai sevak tum swaami
Kripa karo bhartaa
Om Jai Jagadish Hare

Tum ho ek agochar
Sab ke prana pati
Swami sab ke prana pati
Kis vidhi miloon dayamaya
Kisi vidhi miloon dayamaya
Tum ko mai kumati
Om Jai Jagadish Hare

Deena bandhu dukh hartaa
Thakur tum mere
Swami rakshak tum mere
Apane haath uthao
Apane sharan lagalo
Dwar khada mai tere
Om Jai Jagadish Hare

Vishaya vikar mithao
Paap haro deva
Swami paap haro deva
Shraddha bhakti badhao
Shraddha bhakti badhao
Santan ki seva
Om Jai Jagadish Hare

Om Jai Jagadish Hare
Swami Jai Jagadish Hare
Bhakta janon ke sankat
Daas janon ke sankat
Kshan me door kare
Om Jai Jagadish Hare